Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, August 9, 2011

Maqrooz k bigry hoe halaat ki maanind

Maqrooz k bigry hoe halaat ki maanind
Majbor k honto pe sawalaat ki maanind

DiL ka teri chahat me ajab haal hoa hy
Sailab se barbad makanaat ki maanind

Main un me bhatkty hoe jugnu ki trah hon
Us shakhs ki ankhain hain ksi raat ki maanind

Dil roz sajata hon main dulhan ki trah se
Gham roz chaly aaty hain baraat ki maanind

Ab ye b nahi yaad k kya naam tha uska
Jis shakhs ko manga tha manajaat ki maanind

Kis darja muqadas hy tere qarb ki khwahish
Masoom se bachy k khyalat ki maanind

Us shakhs se milna mera mumkin hi nahi hy
Main pyas ka sehra hon wo barsaat ki maanind

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...