Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, August 16, 2011

kuch pal ke milan ke baad barso ki judai se dar lagta hai,

kuch pal ke milan ke baad barso ki judai se dar lagta hai,
kuch pal ki tujhe khushiyaan deke dard dene se dar lagta hai,

tujhe meri baaton ki aadat na pad jaaye isiliye main chup rehta hoon,
tere har dard ko samajhta hoon main par tujhse kehne se dar lagta hai,

mere aansoo dekh kahin tu bhi na ro de isiliye main nahi rota hoon,
apne aansoo to main pi leta hoon par tere aansuon se dar lagta hai,

tu ne mujhe bas khushiyaan hi di hain, teri wajah se koi dard nahi hai,
kuch apni hi majbooriyaan hain jinhe zaahir karne se dar lagta hai,

khud se bhi jyaada chahta hoon main tujhe, tere liye main jaan bhi de dun,
main na rahun to kaun chahega tujhe itna yahi soch ke mujhe dar lagta hai...



 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...