Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 11, 2011

Fir wahi fasaana afsaana sunaati ho,

Fir wahi fasaana afsaana sunaati ho,
dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho,
beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko,
to Fir kyon nahi pyaar jataati ho

dil ki basti bikhar gayi hoti,
ki rooh ke ye zakhm bhar gaye hote,
yeh zindagi to aap ki amaanat thi warna,
hum to kab ke mar gaye hote!!

Zindagi jaise ek saza si ho gayee hai,
gham ke saagar mein is qadar kho gayee hai,
tum aa jao waapis yeh guzaarish hai meri,
mujhe shayad tumaari aadat si ho gayee hai.

aakhon ki zuban wo samajh nahi pate,
honth hain magar kuch keh nahi pate,
apni bebasi kis tarah kahen,
koi hai jinke bina hum reh nahi paathe.

tujhe chahne wale kum na honge,
waqt ke sath shayad hum na honge,
chahe kisi ko kitna bhi pyaar dena,
lekin teri yaadoN ke haqdar sirf hum hi hoNge

mila nahi koi dilbar aisaa,
jo hamse dil lagaataa,
hum to hain diljale aur,
yu hi koi dil nahi jalaataa.

Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai,
ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai,
Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa,
aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...