Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 11, 2011

Aaj us ki yaad nay humain tarpaya bohat

Aaj us ki yaad nay humain tarpaya bohat
Aaj na chahattay howay bhi woh yaad aaya bohat,


Us kay baad to jaisay vehshatoon say dosti ho gaye
Phir kyon aaj tanhaiyoon nay darraya bohat,


Woh mera tha, mera hai, mera rahay ga
Hum nay is khayal say khud ko behlaya bohat,


Shamma kay jalnay per hum afsoos kerain kyoon
Hum nay bhi manind shamma khud ko jallaya bohat,


Hum nay jis kissi ko bhi humdard samjha
Woh humaray dukh pay na janay kyon muskuraya bohat

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...