Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, July 22, 2011

yunhi tu shaakh se pattay gira nahi kartay

yunhi tu shaakh se pattay gira nahi kartay
bicher kar log ziyada jiya nahi kartay

jo anay walay hein mausam unhein shumar mein rakh
jo din guzar gaye inn ko gina nahi kartay

na dekha jaan k uss ne! koi sabab hoga
issi khayal se hum dil bura nahi kartay

woh mil geya tu kiya qissa firaaq kahin
khushi k lamhon ko yun be maza nahi kartay

nishaat-e-qurb ghum-e-hijar k ewaz mat mang
dua k naam pe yun baddua nahi kartay

munafqat pe jinhein ikhtayar hasil hai
woh arz kartay hein, tujh se gilah nahi kartay

humaray qatal pe MOHSIN ye pas-o-pesh kaisi
hum aisay log talab khoon baha nahi kartay




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...