Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, May 9, 2011

" Itna MAloom Hai"

" Itna MAloom Hai"
Apny bistar pe mai bht dair sy neem daraz
sochti thy k wo ic waqt kahan per ho ga
mai yahan hoon magar us koocha-e-rang-o-boo mai
roz ki tarha wo aj b aaya hoga
Aur jab usny wahan mujhko na paya hoga ?
 Apko ilam hai ' wo aj nahi aii hai ?
meri har dost sy usny yehi poocha hoga
Kiun nahi aii akhir kya baat hui hau akhir
Khud sy ic baat pe wo soo bar uljha hoga
Kal wo aey gi tu mai us sy nahi bolo ga
Ap hi ap wo kai bar rotha hoga
wo nahi hai tu bulandi ka safar kitna kathin
sheriyaan charhty hoey us ny ye socha hoga
Rahdari mai ' haray laan mai ' phoolo k qareeb
us ny har simat mujhy AAn dhoonda hoga
Naam bhooly sy jo mera kahen aya hoga
gair mehsos tareqy sy wo choonka hoga
ik jumly ko kai bar sunaya hoga
baat karty hoey soo bar wo bhoola hoga
ye jo larki nai (new) ai hai kahen wo tu nahi
usny har chehra yehi soch kr daikha hoga
Jaan-e-mehfil hai magar aj faqat mery begair
Haey kis darja bhari baam mai wo tanha hoga
Kabhi sanatoon sy wehshat jo hui ho gi usy
usny by-sakhta mjko pukara hoga
chalty chalty koi manoos c ahat pa kr
dostoon ko b kisi azar sy roka hoga
yaad kr k mjy naam ho gai hoon gi palkain
"Aankh mai par geya kuch" keh k ye tala hoga
Aur ghabra k jo kitaboon mai li hogi panah
hr satr mai mera chehra ubhar aya hoga
jb mili hogi usy meri alalat ki khabar
usny ahista sy dewar ko thama hoga
soch kr ye k behal jaey pareshan dil
yunhi be-vja kisi shaks ko roka hoga
Itafaqan mjy us shaam meri dost mili
mainy pocha "Suno aey thy wo?Kaisy thy wo?
mujhko pocha tha?mjy dhonda tha charoon janib
Usny ik dam ko daikha mjy ar hanss di
us hanssi mai wo tu wo talkhi thy k us sy agy
Kya kaha usny_mjy yaad nahi hai___Lakin
Itna maloom hai khawaboon ka bharam toot geya..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...