Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 17, 2011

Naakam nahin nashaad nahin

Naakam nahin nashaad nahin
Main Qais nahin Farhad nahin
Punnon bhi nahin Ranjha bhi nahin
Wamiq bhi nahin Mirza bhi nahin
Wo log tu bas afsaana thay
Is shiddat se baygaana thay
Main zinda ek haqiqat hoon
Sar ta pa jazba-e-ulfat hoon
Main tunko dekh ke jeeta hoon
Har lamha tum pay marta hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Tum jahan pay bath ke jati ho
Jis cheez ko haath lagati ho
Main wahin pay betha rehta hoon
Us cheez ko chota rehta hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Tum jis se hans ke milti ho
Main us ko dost banata hoon
Tum jis rastay pay chalti ho
Main us se aata jata hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Tum jin ko dekhti rehti ho
Wo khuwaab sirhaanay rakhta hoon
Main tum se milnay julnay ke
Kitnay hi bahanay rakhta hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Kuch khwab saja kar aankhon main
Palkoon se moti chunta hoon
Koi lams agar cho jaye tu
main pahroon tum ko sochta hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Jin logon main tum rehti ho
Tum jin se batain karte ho
Jo tum se hans ke miltay hain
Jo tum achay lagtay hain
Wohi mujh ko achay lagtay hain
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Jis baagh main subah ko jaatay ho
Jis sabzay par tum chaltay ho
Jo shaakh tumhain cho jati hai
Jo khushboo tum ko bhati hai
Wo aos tumharay chehray par
Jo qatra qatra girti hai
Wo titli chor ke pholoon ko
Jo tumse milnay aati hai
Jo tum ko cho ne aati hai
Un sab naazuk jazboon main
Mere dil ki dharkan basti hai
Meri rooh bhi shaamil rehti hai
Tum paas raho ya dor raho
Nazroon main samaye rehti ho
Main tum ko takta rehta hoon
Main tum ko sochta rehta hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Jis college main tum parhti ho
Main us main lecture deta hoon
Wo class jahan tum hoti ho
Main us ko takta rehta hoon
Jis kursi pay tum bethti ho
Main us ko cho ta rehta hoon
Jo copy tum ne gum ki thi
Main apnay bag main rakhta hoon
Gandla sa ek tissue paper
Jo tum ne class main chora tha
Wo meray purse main rehta hai
Wo meray lams main rehta hai
Wo makhmal hai wo deeba hai
Wo chandi hai wo soona hai
Wo ambar hai wo sandal hai
Wo khushboo ka ek jungle hai
Har manzar main har rastay par
Main saath tumharay hota hoon
Main chashm-e- tassawor se aksar
Bas tum ko dekhta rehta hoon
Main aisi Muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Main aisi muhabbat karta hoon...
Batao
Tum kesi muhabbat karti ho???

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...