Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, February 1, 2011

Woh Jo Apna Tha Woh Aur Kisi Ka Kyun Hai

Woh Jo Apna Tha Woh Aur Kisi Ka Kyun Hai
Yehi Duniya Hai Toh Phir Aisi Yeh Duniya Kyun Hai
Yehi Hota Hai Toh Akhir Ye Hi Hota Kyun Hai
Ek Zara Haath Barhdey Toh Pakar Lein Daman
Uske Seene Mein Sama Jayi Humari Dhadkan
Itni Qurbat Hai Toh Phir Fasla Itna Kuyn Hai
Dil-E-Barbaad Se Nikla Nahi Ab Tak Koi
Ek Lutay Ghar Pe Diya Karta Hai Dastak Koi
Aass Joh Toot Gai Phir Se Banaata Kuyn Hai
Tum Mussrrat Ka Kaho Ya, Ise Ghum Ka Rishta
Kehtey Hain Pyar Ka Rishta Hai Janam Ka Rishta
Hai Janam Ka Jo Ye Rishta To Badalta Kuyn Hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...