Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, February 1, 2011

samajh na sake dooriyan kyun thi

samajh na sake dooriyan kyun thi,

Zuban per the lafz phir majbooriyon kyun thi

Dilon ki baat agar haqiqat hoti hai humare darmiyan...

woh khamoshiyan kyun thi

Bune the humne bhi kuch reshmi dhaagon ke khwaab

Humare hisse mein woh kaali dooriyan kyun thi

Idhar honthon per azab si khamoshi

Udhar kuch raaz dil ke talon mein

Samajh sake na sargoshiyan hawaaon ki

Humare hisse mein sehra ki aandhiyan kyun thi

Pahunch ke meel ke patthar per sochta hoon

Safar tanha to phir woh dooriyan kyun thi...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...