Mujhay acha sa lagta hay,Tumharay sang sang chalna Wafa ki aag main jalna,Tumhain naraz kar denaKabhi khud rooth sa jana,Tumhari berukhi par bhiTumhari aarzu karna,Khud apnay dil ki dharkan sayTumhari guftagu karna,mujhay acha sa lagta hayBohat acha sa lagta hay,Tumhi ko dekhtay rehnaTumhi ko sochtay rehna,Bohut gehray... khayalon mainjawabon main sawalon main,Muhabbat kay hawalon mainTumhara naam aa jana,Mujhay acha sa lagta hay
No comments:
Post a Comment