Muhabat meRa masla hai
Isay mai hal to kar lungi
Hisaar-e-zaat ko torongi
Us yaad ghur ko chorongi
Mager jana
Tum apni socho
Kuch apni zaat ko khojo
Bin mere
Har sans ulhaaj paregi
Har yaad tumse lareygi
Aur us par..
Ghazab mere khatt
Jinka har ek lafz
Tumharey zehn-o-wajdaa'n mei
Ab tak to rach basa hai..
Ik jaal ban chala hai
Tumse jo keh raha hai
Ab k in yadon se
Kachey pakey wadon se
Pyare kaisey nikloge??
No comments:
Post a Comment