Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, February 1, 2011

Main Ik Mushafir Hoon Na Jane Kidher Jaunga

Main Ik Mushafir Hoon Na Jane Kidher Jaunga;
Ik Rooz Teri Basti Se Khamosh Guzer Jaunga.
Tu Mujhe Dekh ker Rahein Na Badal;
Mai Khud Teri Zindagi Se Door Chala Jaunga.
Meri Jaan Mere Jazbaat Ko Galat Na Samajh;
Aaj K Baad Apne Dil Ko Mein Samjhaunga.
Maine Ik Umar Guzari Hai Teri Chahat Mein;
Tu Hi Bata Mein Tujhe Kaise Bhula Paunga.
Tamanna Hai Na Koi Ab Na Koi Aarzoo Hai;
Mai Ab Tere Liye Koi Kasam  Na Khaunga.
Bare Bemurabbat Ho Gaye Hain Log Yaha.n ;
Mai Is Basti Se Kahin Door Nikal Jaunga.
Tune Thukraya Mai Patther Nahi Insan Tha ;
Mai Sheesha Bhi Nahi Koi Jo Bikher Jaunga.
Tujhse Sikwa Hai Mujhe Dil Mein Na Kabhi Lana;
Tere Liye Mein Nange Paon Chala Aaunga.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...